Painless Delivery
Shaadi kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal nashaunuma mein bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain.
Taqreeban 50% aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat
Shaadi kay baad har larkey larki ki khwahish hoti hai kay woh jald az jald waledaen ban jaein unki khwahish to kam hoti hai magar azeez o aqarib khusoosan larkey larki kay waledaen ki khwahish zyada. Lekin humari tajweez hai kay pehley ek do saal bacha nahin hona chahiyie taa'kay dulha dulhan azdawaji zindagi kay sukoon aur lazzat sey khoob lutf andoz ho lein. Baqi sari umar bachey hi paeda karney hain iss kay elawa agar mian biwi mein nachaaqi ho jaey to alaehdgi mein aasani hogi na kay bachon ki wajah sey sari zindagi azaab mein guzrey, kyun kay mahireen ki ra'ey hai kay na khushgawar shaadi sey khushgawar alaehdgi behter hai bachey ki paedae'sh kay ba'ad aurat maa'n ban jati hai aur zyada tawajjuh bachey ko deti hai jab kay khawand ko ek biwi ki zaroorat hoti hai behter hai kay biwi ki umar 35 saal honay sey pehley khandan ko mukammal kar liya jaey iss umr kay bachey amooman sehatmand hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay maa'n aur bachon ki achi sehat kay liye bachon ki paedae'sh mein kam az kam do/dha'ee saal ka waqfa hona chahiyie. Quran majeed sey bhi yehi ishara milta hai warna maa'n kay liye bachon ki achi parwarish karna mushkil ho jata hai. Dekha gaya hai kay agar bachey jaldi jaldi paeda hun to humarey haan ek aadh bacha nanhiyaal mein parwarish paata hai wahan ya to usko zaroorat sey zyada tawajjuh aur mohabbat milti hai ya phir poori tawajjuh aur mohabbat nahin milti donon surton mein bacha ba'az nafsiyati masail ka shikar ho jata hai.
OcesfaWopni James Filipowski https://wakelet.com/wake/kaH9Gw1aLYX7UqxSdhO-L
ReplyDeleteptinveraring