Baghaer Mubashrat
Aurat Baghair Mubashrat Kay Haamla Ho Sakti Hai?
(Pregnancy Without Intercourse)
Aurat kay pregnancy kay liye mubashrat (Intercourse) aur dakhool (penetration) zaroori nahi. Aisi examples mojood hain kay ek larki pregnant ho gaee halan kay iss ney mubashrat (Intercourse) nahi ki. 22 saala Margaret check up kay liye apni family doctor kay pass gaee. Doctor ney iss ko bataya kay woh pregnant hai aur woh shadeed ghussey mein aa gaee. Iss ney cheekhtey huey doctor ko bataya kay iss ney kabhi mubashrat (Intercourse) nahi ki to pregnancy kaisey ho sakti hai. Isey bataya gaya kay baaz auqat mubashrat (Intercourse) kay baghaer foreplay kay doran mard ka discharge ho jata hai agarcha discharge vagina sey baher hua ho magar vulva kay ooper hua ho iss tarhan mani (seminal fluid) ka ek aadh drop vulva kay ander chala jata hai aur wahan sey sperm vagina mein chaley jatey hain. Issi tarhan agar aurat ek aisey kaprey sey apni vagina ko saaf karey jis per mard ki mani (semen) lagi ho to iss soorat mein bhi larki ko pregnancy honay ka imkaan hai. (Kothram: Reuben)
Khawateen Kay Paet Aur Pistaan (Breast) Per White Lakeerein:
Baaz khawateen kay paet aur pistaan (Breast) per white lakeerein parr jatin hain. Iss ki wajah yeh hoti hai kay pregnancy mein aurat kay paet ki skin phael jati hai. Issi tarhan pistaan (Breast) ki bhi skin phael jati hai. Baaz aurton ki skin zyada lacahkdaar (elastic) hoti hai inn kay jism per lakeerein nahi parti magar aksar aurton ki skin zyada elastic nahi hoti jiski wajah sey skin phat jati hai aur phir bachey ki paedaesh kay baad yeh tears white lakeeron mein badal jatey hain. Yeh bhi ek normal process hai. Iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat nahi.

Comments
Post a Comment